Movie – Amar Prem (1972)
Cast – Rajesh Khanna, Sharmila Tagore, Vinod Mehra, Madan Puri
Director – Shakti Samanta
Music Director – Rahul Dev Burman
Song – ‘Chingari Koi Bhadke’
Lyrics – Anand Bakshi
Singer – Kishore Kumar
hmm..
chingari koi bhadke
to saawan usse bujhaaye
saawan jo agan lagaaye
usse kaun bujhaaye
ho,
usse kaun bujhaaye
patjhar jo baagh ujaade
wo baagh bahaar khilaaye
jo baagh bahaar mein ujde
usse kaun khilaaye
ho,
usse kaun khilaaye
humse mat poocho kaise
mandir toota sapno ka
humse mat poocho kaise
mandir toota sapno ka
logon ki baat nahi hai
ye kissahai apno ka
koi dushman thes lagaaye
to meet jiya behlaaye
manmeet jo ghaav lagaaye
usse kaun mitaaye….
na jaane kya ho jaata
jaane hum kya kar jaate
na jaane kya ho jaata
jaane hum kya kar jaate
peete hain to zinda hain
na peete to marr jaate
duniya jo pyaasa rakhe
to madira pyaas bujhaaye
madira jo pyaas lagaaye
usse kaun bujhaaye
ho,
usse kaun bujhaaye
maana toofan ke aage
nahi chalta zor kisika
maana toofan ke aage
nahi chalta zor kisika
maujon ka dosh nahi hai
ye dosh hai aur kisi ka
majdhaar mein naiya dole
to maajhi paar lagaaye
maajhi jo naav duboye
usse kaun bachaaye
ho,
usse kaun bachaaye
chingaari…
umm hmm hmm…
umm hmm hmm….
Happy Birthday Rajesh Khanna ji… here’s sharing the song which became your identity












